Happiness
It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Register button, or if you are already registered click on login button.


Join the forum, it's quick and easy

Happiness
It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Register button, or if you are already registered click on login button.
Happiness
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Latest topics
» Share your favorite Shar ar yai bhi batain k q pasand hai ?
by h4happiness Mon Jul 30, 2012 6:43 pm

» Share poetry
by h4happiness Mon Jul 30, 2012 6:25 pm

» Mathematics FSC Part2 EX Solution
by h4happiness Sat Jun 16, 2012 11:00 am

» Important Links
by h4happiness Thu Jun 14, 2012 9:15 am

» زندگی ۔ منفی اعتقادات کے ساتھ
by h4happiness Fri Aug 05, 2011 11:51 am

» Life!!!!!!
by h4happiness Fri Aug 05, 2011 11:04 am

» Some important tips for presentation
by h4happiness Tue Aug 02, 2011 7:03 pm

» Happiness Quotes
by h4happiness Fri Jul 29, 2011 10:48 am

» MCM101 Spring2011 Final Term Papers
by Admin Sat Jul 16, 2011 8:56 am

Top posters
h4happiness (4946)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
Admin (275)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
řőşě (94)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
eagle_eye (15)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
master (11)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
mc100402033 (8)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
sungraizfaryad (6)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
Nadia666 (5)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
crazzycat (5)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 
waqas143 (3)
Share poetry - Page 19 Vote_lcapShare poetry - Page 19 Voting_barShare poetry - Page 19 Vote_rcap 

May 2024
MonTueWedThuFriSatSun
  12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031  

Calendar Calendar


Share poetry

3 posters

Page 19 of 21 Previous  1 ... 11 ... 18, 19, 20, 21  Next

Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by řőşě Thu Aug 18, 2011 11:52 pm

Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hoon,

Aur Apne Aankh Se Ojhal Hoon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,

Jab Dil Mein Basnay Waalay Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,

Door Khahin Wo Bastay Hoon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hoon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,

Jab Gham Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi Teri Ho,

Na Dil Mein Koi Ujaala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai..
řőşě
řőşě

Group : Global Moderator
Group : Global Moderator

Male Number of posts : 94
Age : 40
Registration date : 2008-11-07

https://happiness.forumotion.co.uk/

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 19, 2011 8:24 am

Main kanch KI Guriya Hon
Sheeshy Ka Hai Dil Mera
Is Nazuk Abgeeny May
Bas Tera hi Bsaira hai
Meri Socho'n Per Bhi har pal
Bas Tera Hi Pehra Hai

Main Kanch Ki Guriya Hon
Mom Sy hain Mery sappny
Mery Hi Ashkon Sy
Kabhi Jalty hoye Kabhi Bhujty Hoye Mery Roz-0-Shab Saary Hi
Tery hijjar Ki Aag main Jhulsy Hoye

Main Kanch ki Guriya hon
Tooteti Hoi Aur Bikharti Hoi
Apni Kirchiyan Phir main
Apny hatho'n Sy chunti Hoi
Khud hi ulajhti hoi Khud hi sambhlti hoi
Tery Peyar ki Aatish may jalti hoye ,bhujti Hoye

Main Kanch Ki Guriya Hon
Teri Muhabbat Sy zinda hon
Teri Nafrat Sy mar jati hon MainTery Lafzon ,Tery Lehjy,Teri Baton
Teri Dheemi Dheemi sarghoshion Sy
Tery Sehar main Uter Jati Hon Main Phir Aur Nikhar jati Hon Main

Main Kanch Ki Guriya Hon
Sheeshy Ka Hai dil Mera
Is Nazuk Abgeeny Main
Bas Tera hi Bsaira Hai
Main Kanch ki guriya hon
Main Kanch ki guriya Hon
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Feb 17, 2012 1:34 pm

Ye T0 Dil Tha Dewana K Tum Par Aa Gya

Warna Hm Qeemti Pathron Ko Bhi Uthaya Nahi Karte

Ye Mana K Tum Haseen Ho Magar Ye Bhi Sun Lo

Hm Haseen Logon Se Dil LaGya Nahi Karte

Jis Se Karte Hain Pyar Bus Ek Hi Baar Karte Hain

Baar Baar Hum Bhi Kisi Ko Sataya Nahi Karte

Tum Tu Apne Ho Tum Se Kya Parda

Warna Hum Raaz-E-Dil Kisi Ko Bataya Nahi Karte

Tum Keh Do Tu Tumhare Liye Jaan Bhi Hazir

Warna Hum Zindagi Dao Per Lagaya Nahi Kartey...:
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Feb 17, 2012 3:55 pm

Hum khud shb e zist me jal jaty hen aksr
Hm log chraghon ko jlaia nhe krtay.

Khud khoon se rangeen hen jo hath abi tk.
Wo hath to qatl ka sfaia nhe krtay.

Chup reh k b seh jatay hen hr ak sitm ko
Ik zakham b dunia ko dkhaia nhe krtay.

Be mehr nhe ulft ki sza jheel chukay hen.
Bs guzri hui baton ko dohraia nhe krtay.

Chup chap rhe drd ko seena se lga kr.
Ab ghm ko zmana se chupaia nhe krtay.

Bs chair dia tum se hi ye qissa hm ne
Hr ik ko ye afsana sunaia nhe krtay.

Ab yad q ay ho tum ne to kaha tha.
Hm drd k maron ko rulaia nhe krtay.

Bin manga hi mil jata he taqdeer ka likha.
Dr dr pe mgr hath uthaia nhe krtay.
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Feb 21, 2012 10:47 am

yeh Jo Zindagi Ki Kitaab Hai
Yeh Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai


Kaheen Aik Haseen Sa Khwaab Hai
Kaheen Jaan Lewaa Azaab Hai


Kaheen Aansoon Ki Hai Daastaan
Kaheen Muskrahaton Ka Bayaan


Kai Chehre Is Mein Chhupe Howe
Aik Ajeeb Sa yeh Naqaab Hai


Kaheen Kho Diya ,Kaheen Paa Liya
Kaheen Roo Liya,Kaheen Gaa Liya


Kaheen Chein Leti Hai Har Khushi
Kaheen Meharbaan Be-Hisaab Hai


Kaheen Chhaaon Hai Kaheen Dhoop Hai
Kaheen Aur Hi Koi Rooop Hai


Kaheen BARKATON KI Hain BAARISHEIN
Kaheen TASHNAGI Be-HISAAB Hai
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Wed Feb 22, 2012 9:49 am


Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain


Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain


Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay


Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain


Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna


Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain


Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum


Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain


Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein


Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain


Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main


Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain


Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau


Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain


Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina


Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Wed Feb 22, 2012 9:53 am

Hmesha sath rhne ki ye adat kuch nahi hoti.


Jo lamhe mil gae jee lo riyazat kch nhi hoti.


Jise mehrumiyan mili hon whi jan skta hy.


Zubani hosla jhooti murawwat kch nhi hoti.


Kai rishton ko jb parkha matija ek he nikla.


Zroorat hi sbhi kch hy mohbt kch nhi hoti.


Kisi ne chor k jana ho to chor jata hy.


Bichrna ho to sadiyon ki rafaqat kch nhi hoti.


Taalluq toot jaye to safeene døob jate hen.


Ye sb kehne ki baaten hen haqiqat kch nhi hoti,.
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Feb 23, 2012 9:25 am

Ishq Karo Tu Yah Bhi Socho Arz -e- Sawal Say Pehlay
Hijar Ki Puri Raat Aati Hay Subh -e- Wisaal Say Pehlay

Dil Ka Kaya Hay Dil Nay Kitnay Manzar Dekhay Lakin
Aankhain Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Say Pehlay

Kaar e Muhabbat Aik Safar Hy is mein Aa Jata Hay
Aik zawal Asaar Sa Rasta Baab e Kamaal Say Pehlay

Kis Nay Reit Urati Shab Main Aankhain Khol Kay Rakhin
Koi Ak Misaal To Do Na, Us Ki Misaal Say Pehlay

Ishq Mein Raisham Jesay Vaaday aur Khawabon Ka Rasta
Jitna Mumkin Ho Tay Ker Lein Gard e Malaal Say Pehlay

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Feb 23, 2012 9:49 am

Aksar Mere Kamre Ki Udaasi..Poochti Hai..
Yeh Kiski Rone Ki.. Siskiyaa Hai Jo Gunjati Hai…

Who Khidki Who Darwaaje Khulne Ko Taras Gaye Hai..
Naa Jaane Yeh Aakhein Kisko Dhoondti Hai..

Mere Bistar Ke Chaadar Ki Salwate ..
Tanhaai Ka Fasaana Bayaan Kar Deti Hai
Who Band Almaari Bhi Mujhe Ab Pagal Kehti Hai…

Aksar Mere Kamre Ki Udaasi..Poochti Hai..
Yeh Kiski Rone Ki.. Siskiyaa Hai Jo Gunjati Hai…

Roshan Kar Diya Andhere Mein.. Jab Nazre Dekhti Hai...
Meri Parchaayi Tak Mujhse … Chupati Firti Hai..

Ruke Huye Ghadi Ke Kaanto Ko Dekh.. Pooch Baitha…
Kyun Bhoole Waqt Ko Yaad Dilaane Ki Koshish Karti Hai..

Aksar Mere Kamre Ki Udaasi..Poochti Hai..
Yeh Kiski Rone Ki.. Siskiyaa Hai Jo Gunjati Hai…..

Woh Aaina Mera Jise Dekh Mein Muskura Leta Hoon..
Jisme Aaj Bhi Mujhe Woh.. Sajti-Sawarti Dikhti Hai..

Ab to Deewaron Ne Mujhse Baatein Shuru Kar Di Hai..
Kon Kehta Hai Mein Akela Hoo…. Jab Kamre Mein Itni Girdi Hai..
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Wed Feb 29, 2012 4:06 pm

Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir ik,

...Mujh sey pooch baitha hey,
Rasta batado gy,

Ajnabi si rahoon k
Ajnabhi Musafir sun,

Raasta koi bhi ho,
Waasta koi bhi ho,

Manzilain nhi milti,
Manzilain tu dhokha hn,

Manzilain gr mil jaein,
Tu justuju nhi rahti ,

Zindigi ko jeeney ki,
Aarzoo nhi rahti
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Mar 01, 2012 3:56 pm

Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun
Laray Bagair Hee Phir Haar Maan Leta Hun


Giro Ki Yaad Anghootay Se Aanay Lagti Hai
Mein Jub Bhee Haath Mein Teer-o-Kamaan Leta Hun


Fizaa-e-Sheher Se Aati Howi Hawaaon Ko
Mein Saans Lenay Se Pehlay Hee Chhaan Leta Hun


Baray Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Per
Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhee Taan Leta Hun


Ye Aur Baat Ke Poora Koi Nahee Hota
Hamesha Azam Koi Dil Mein Taahn Leta Hun


Ye Waaqiya Hai Ke Naaqaam Rehta Hun Aksar
Mein Jub Bhee Apna Koi Imtehaan Leta Hun
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Mar 01, 2012 4:43 pm

itna to yad rakh mje
jesy kisi kitab mai
beety dino k dost ka
Ik khat pata mile
lafz mite mite sahi
rang ura ura sa ho
Lakin...
wo ajnabi na ho..!!!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Mar 01, 2012 7:12 pm

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Mar 01, 2012 7:53 pm

dil se dil milaane ka naam he ishq,
khabon ko sajaane ka naam he ishq!

mar mite jo hoton ki jumbish par,
us diwaangi ka naam he ishq!

unke chehre par ik hasi ke liye,
so gham uthaane ka naam he ishq!

aa jaayen kabhi jo aankhon mean,
un ashkon ko apni palkon mean lene ka naam he ishq!

na uff kare na aah kare na peshani pe shikan bhare,
khud ko mohabbat ke naam pe mitane naam he ishq!

na kar khafa na ho khafa na le wafa ka to sila,
bina shart saath nibhane ka naam he ishq!

guzaar de too zindagi na mout hi juda kare,
is tarha saath nibhane ka naam he ishq!

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Mar 01, 2012 7:55 pm

Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 8:43 am

Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai,
Tumharay sheher mai logon muhabat roz bikti hai,

Amir-e-sheher k dar ka abhi muhtaj hai Mazhab,
Abhi Mulla k fatwoon mai Shareyat roz bikti hai,

Hamare khoon ko bhi woh kisi din bech daly ga,
Kharedaron k jhurmat mai Adalat roz bikti hai,

Najanay Lutf kia milta hai in ko roz bikne mai,
tawaef ki tarah logon Qeyadat roz bikti hai,

Kabhi masjid k mimber pr kabhi hujre mai chup chup k,
Mere waaez k lehjay mai Qeyamat roz bikti hai,

Bari laachar hain jabenain in Gharebon ki,
k Majbori ki Mandi mai Ibadar roz bikti hai...!!!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 9:07 am

Suno logo meri ankhain kharedo gy?
bohat majboor halat main muje nilam karni hain,,
koi muj se naqad ly ly,,
main thoray dam lay lon ga,,,,
jo pehli boli day de bas usi k nam kar dun ga,,
muje bazar walay keh rehe hain kam aqal tajir,,
aray sunsan logo,,,
main nehain hun hirs ka kha,han,,
nafa nuksan ki shatranj nehan main khelne aaya,,
koi muj ko kehe na manchala sa be hunar tajir,,,
bata paon tuje kese or kis tashweesh main rakhon,,
suno logo,,,
bari mehbobtar hain muj ko meri neem tar ankhain,
magar ab bechata hun k ……!
muje ik khawab ka tawan bharna hai
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 9:09 am

Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai

Dil par pani piny ati hain umeeden
is chashmy main zeher milaya ja sakta hai

mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai

phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish
is main apna aap chupaya ja sakta hai

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 9:10 am

Falsafay Ishq Main Paish Aaye Sawalon Ki Tarha
Hum Pareshan Hi Rahay Apnay Khayalon Ki Tarha

Sheeshagar Bethay Rahay, Zikr-E-Maseeha Le Kar
Aur Hum Toot Gaye Kaanch Ke Pyaalon Ki Tarha

Jab Bhi Anjaam-E-Mohabbat Ne Pukara Khud Ko
Waqt Ne Paish Kiya Hum Ko Misaalon Ki Tarha

Zikr Jab Hoga Mohabbat Main Tabahee Ka Kabhi
Yaad Hum Aayen Gey Duniya Ko Hawaalon Ki Tarha
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 9:30 am

Chalo hum maan lete hain
Tumhain hum kho chuke lekin
Tumhari yaad ab tak kion
Humain betaab rakhti hai
Humari saans ab tak kion
Tumhari aas rakhti hai
Magar ab ye bhi suntay hain
Tumhari rah roshan hai
Tumhain mil jaye ga koi
Magar afsos hum jesa agar pao kahin tum to
Mujhe do haraf likh dena
K manzil mil gayi mujh ko…!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Mar 02, 2012 9:31 am

choti choti baton pay ab rona adhona chor dia hay
jin baton pay dil jalta tha on pay khurna chor dia hay

jab say vo dar pok c larki bani bhadur thori c to
logon nay b ab to os pay fiqray kasna chor dia hay


kal tak thi jo shokh or chnchal sahmi sahmi rahti hay ab
ab na jane kun pagal nay hansna khailna chor dia hay

maan nay jane kon c bat pai dar kay ose gher rok lia hay
maan kay kahnay pai ab os nay college jana chor dia hay

sanpon say zahreela ab to ajj ka ye insan hoa hay...
insaon say dar k ab to sanp nay dasna chor dia hay
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Sat Mar 03, 2012 3:47 pm


Aaisa Karte Hain K Mar Jate Hain

Kaisay Hote Hain Bicharnay Wale
Hum Ye Sochain Bhi To Dar Jate Hain

Dil Jo Tote To Sar-e-Mahfil Bhi
Bal Be-waja Bikhar Jate Hain

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain
Charhtay Darya To Utar Jate Hain

Dhoop Ka Roop Rachnay Wale
Shaam Ko Aor Nikhar Jate Hain

Ab Na Murr Murr K Pukaro Unko
Log Rastay Mein Thehar Jate Hain

Khali Daman Se Shikayat Kaisi
Aashk Aankhon Mein To Bhar Jate Hain

Tum Kahan Jao Gay Socho (MOHSIN)
Log Thakk Haar K Ghar Jate Hain
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Mar 20, 2012 11:41 am

*KIA TUM B . . .?

Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .

Or kisi awara patte ki ahat pr,

Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .

KIA TUM BHI . . ?

Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .

KIA TUM BHI. . .?

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Mar 20, 2012 11:41 am

*KIA TUM B . . .?

Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .

Or kisi awara patte ki ahat pr,

Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .

KIA TUM BHI . . ?

Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .

KIA TUM BHI. . .?

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Mar 20, 2012 11:45 am

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain

Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai

Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai

Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain

Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey

Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi

Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar

Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata

Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein

Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui

So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar

Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 19 Empty Re: Share poetry

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 19 of 21 Previous  1 ... 11 ... 18, 19, 20, 21  Next

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum