Happiness
It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Register button, or if you are already registered click on login button.


Join the forum, it's quick and easy

Happiness
It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Register button, or if you are already registered click on login button.
Happiness
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Latest topics
» Share your favorite Shar ar yai bhi batain k q pasand hai ?
by h4happiness Mon Jul 30, 2012 6:43 pm

» Share poetry
by h4happiness Mon Jul 30, 2012 6:25 pm

» Mathematics FSC Part2 EX Solution
by h4happiness Sat Jun 16, 2012 11:00 am

» Important Links
by h4happiness Thu Jun 14, 2012 9:15 am

» زندگی ۔ منفی اعتقادات کے ساتھ
by h4happiness Fri Aug 05, 2011 11:51 am

» Life!!!!!!
by h4happiness Fri Aug 05, 2011 11:04 am

» Some important tips for presentation
by h4happiness Tue Aug 02, 2011 7:03 pm

» Happiness Quotes
by h4happiness Fri Jul 29, 2011 10:48 am

» MCM101 Spring2011 Final Term Papers
by Admin Sat Jul 16, 2011 8:56 am

Top posters
h4happiness (4946)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
Admin (275)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
řőşě (94)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
eagle_eye (15)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
master (11)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
mc100402033 (8)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
sungraizfaryad (6)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
Nadia666 (5)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
crazzycat (5)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 
waqas143 (3)
Share poetry - Page 18 Vote_lcapShare poetry - Page 18 Voting_barShare poetry - Page 18 Vote_rcap 

May 2024
MonTueWedThuFriSatSun
  12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031  

Calendar Calendar


Share poetry

3 posters

Page 18 of 21 Previous  1 ... 10 ... 17, 18, 19, 20, 21  Next

Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 8:53 pm

Meri Be’los Muhabat Ke Gawah Chand Bata!

Mene Har Roz Use Yaad Kiya He Ya Nahi?

Wo Jo Maaruf He Mash’hoor He Logon Ke liye!

Dil Ye Us Ke Liye Aabad kiya He Ya Nahi?

Meri Be’los Muhabat Ke Gawah Chand Bata!

Mene Har Roz duaoun Ke Mehkte Gijre,

Jhil Milate Hui Aankhon Ke Bikhrte Aansu,

Gud’Gudate Hue Ehsas Ki Piyari Khushboo!

Us Ke Kooche Ki Tarf Roz Pohanchaie Ke Nahi?

Meri Be’los Muhabat Ke Gawah Chand Bata!

Tehal Kar Dar Talak Raat Ki Tanhaie Men,

Dil Ki Gehrayoun Se Mene Use Socha Ke Nahi?

Sar’Srati Hue In Mast Hawaoun Ki Qasam Kha Ke Bata!

Use Mene Dil Ke Gehrayon Se Toot Ke Chaha He Ke Nahi?

Teri Hi Chandni men Lakh Sitaron Ke Tale,

Mene Pegham-e-Muhabat Use Bheja KE Nahi?

Meri Be’los Muhabat Ke Gawah Chand Bata!

Phir Bhi Wo mujh Se Khafa He To Gila Kis Se Karon?

Too Hee Hamraaz He, Main Aor Gawah Kis Ko Karon?

He Kiya Sachaie Use Kon Batai Ga Bhala?

MERI BE’LOS MUHABAT KE GAWAH CHAND BATA!!!!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 8:54 pm


Main Wohi Hoon Jise Tum “DOST” Kaha Karte The

Din Mian So Baar Mera Naam Liya Kartye The

Aaj Kiya Baat He Kiyuon Mujh Se Khafa Bethe Ho

Kiya Kisi Aor Ko Dost Bana Bethe Ho?

Fasle Pehle To Itne Na Hua Karte The!

Haan Main Wohi Hoon Jise Tum “DOST” Kaha Karte The.

Tum Agar Bhool Gai Ho To Koie Baat Nahi.

Zakham To Pehle Bhi Is dil Par Laga Karte The.
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 8:56 pm

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye
Kis Bhool Ki Saza Di Humko??
Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai
Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..
Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..

Paane se khone ka maza aur hai
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal
aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 8:58 pm

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe,
Wo Aayina Hai To Phir Aayina Dikhaye Mujhe,

Azab Chirag Hoon Din Raat Jalta Rehta Hoon,
Main Thak Gaya Hoon Hawa Se Kaho Bujhaye Mujhe,

Main Jiski Aankh Ka Aansu Tha Usne Kadar Na Ki,
Bikhar Gaya Hoon To Ab Ret Se Uthaye Mujhe,

Bahut Dino Se Main In Pattharon Mein Patthar Hoon,
Koi To Aaye Zara Der Ko Rulaye Mujhe,

Main Chahta Hoon Ke Tum Hi Mujhe Izzat Do,
Tumhari Tarahse Koi Gale Lagaye Mujhe...
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 8:59 pm

Jab Yunhi Kabhi Baithe Baithe Kuch Yaad Achanak Aa Jaye,
Har Baat Se Dil Bezaar Sa Ho, Har Chiz Se Dil Ghabra Jaye,
Karna Bhi Mujhe Kuch Aur Hi Ho, Kuch Aur Hi Mujhse Ho Jaye,
Kuch Aur Hi Sochun Main Dil Mein, Kuch Aur Hi Honthon Par Aa Jaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Chanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein,
Tab Yaad TuMhari Aati Hai.....

Jab Chandni Dilke Aangan Mein, Kuch Kehne Mujhse Aa Jaye,
Ek Khwabeeda Se Chote Koi, Ehsaas Pe Mere Chha Jaye,
Jab Zulf Pareshaan Chehre Par Kuch Aur Pareshan Ho Jaye,
Kuch Dard Bhi Dil Mein Hone Laga, Aur Saans Bhi Bojhal Ho Jaye,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein
Tab Yaad TuMhari Aati Hai.....

Jab ShaaM Dhale Chalte Chalte, Manzil Ka Na Koi NaaM Mile,
Ek Hansta Hua Aagaz Mile, Ek Rota Hua AnjaaM Mile,
Palkon Ke Larazte Ashkon Se, Is Dilko Koi PaigaaM Mile,
Aur Saari Wafaon Ke Badle, Mujhko Hi Koi IlzaaM Mile,
Aise Hi Kisi Ek LaMhe Mein, Chupke Se Kabhi KhaMoshi Mein,
Kuch Phool Achanak Khil Jayein, Kuch Beete LaMhein Yaad Aayein,
Tab Yaad TuMhari Aati Hia...
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 9:00 pm

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazeishein Bhi Yaad Karna
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna,

Chalaye Rakhungi Main Subah Tak TuMhare Raasto Me Apni Aankhein,
Magar Kahin Sabar Toot Jaye To Baarishein Bhi Yaad Karna

Jo Sardiyonka Udaas MausaM Me Dhadkanein Barf Hogayi Hai,
Jab Ye Ho Jaye Banjar To Bin MausaM Inka Barasna Bhi Yaad Karna,

TuM Apni Majbooriyon Ke Kisse Zaroor Likhna Wazahaton Se,
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bhuji Hia Wo Khwahishein Bhi Yaad Karna,

Mohababtein Jab Yaad Karna To Sazishein Bhi Yaad Karna,
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Aziyaatein Bhi Yaad Karna...
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 9:02 pm

Na Jane Kab Mile Fursat,
Isi LaMhe Chale Aao,
Na Jane Kab Mile Fursat
Ke Jab TuM Bhi Na Mil Pao
Ke Jab Main Bhi Na Mil Paun,
TuMhe Shikwy Sunane Hai,
Mujhe Aansu Bahane Hai,
TuMhe IlzaaM Dena Hai,
Mujhe Be-DaaM Rehna Hai,
To Kyon Na ShaaM Se Pehle
Kisi LaMhe Me Mil Jayein
Khizaon Ki Dhoop Faili Hai,
Hawa Bhi Thodi Gili Hai,
Udaasi Ka Fasoon Sa Hai,
Jaan Me Ek Sukun Sa Hai,
Ye MausaM Hai Bichhadne Ka,
Isi Rut Me Bichhad Jao,
Abhi Aao
Abhi Aao
Bichhad Jao...
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 9:04 pm

Samundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Wohi Dono Jo Bhigi Ret Par
Ek Dusre Ka Haath Thaame Dur Tak
Kabhi Haste Kabhi Kuch Gungunate
Ya Kabhi Chup Chap Baithe Door Ulfat Ki Godh Mein,
Dhalta Hua Suraj Dekhte,
Aansu Bahate Laut Jaate!!!

Samundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Jo Aate The To Apne Sath Kitne Khwab Laate The,
Kabhi Saahil Se Dheron Sipiyan Chunte The,
Nange Paanv Paani Me Chale Aate The,
Bhigi Ret Se Nanhe Gharonde Bhi Banate The,
Aur Unmein Sipiyan, Rangeen Se Patther Yun Sajate The,
Ke Jaise Aaj Ke Jugnu Se Lamhe,
Aane Wale Kal Ki Mutthi Me Chhupate The!!!

Samundar Puchta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Magar Samundar Ne Khiza Ki Siskiyan Leti Hui
Ek Shaam Ko Wo Naujawano Ko Nahi Dekha,
Jo Der Tak Tanha Sare Saahil Raha Baithta
Phri Usne Dher Sare Khat
Bahut Se Phool Sukhe Aur Tasveerein
Aur Apne Aakhri Aansu
Kar Diye Samundar Ke Hawale!!!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 9:06 pm

Mujhe Bas Itna Kehna Hai,
Kabhi Main Yaad Aaun To,
Kabhi Tanhayi Ki Raatein
Tumhe Zyada Satayein To,
Kabhi Titli Na Bole To,
Aur Jugnoo Laut Jaye To,
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye,
Koi Jab Sunn Na Paye To,
Agar Sab Dost Sathi Bhi,
Jo Tumse Rooth Jaayein To,
Kabhi Jab Khud Se Lad Lad Kar,
Thakan Se Choor Ho Jao,
Kabhi Chahte Hue Bhi Khud Akele
Ro Na Paao To,
Apni Aankhon Ko Band Karna,
Mujhe Aawaz De Dena,
Aur Phir Mere Tasawwur Se,
Jo Chaho Baatein Kar Lena,
Mere Kaandhe Par Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena,
Phir Khud Me Jab Laut Jao To,
Wahi Duniya Mein Chale Jana,
Magar Bas Itna Kehna Hai
Ke Jab Bhi Dukh Ya Khushiyon Mein
Hamein Dilse Pukaroge,
Kasam Khuda Ki Kabr Mein Bhi Honge
To Laut Aayenge Hum.
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Mon Aug 08, 2011 9:08 pm

Mohabbat Dil Main Hoti Hai
Mohabbat Karne Wale Dil
Kabhi Bichrra Nahi Karte
Juddaiyaan Aa Bhi Jaati Hain
Khushiyaan Rooth Bhi Jaati Hain
MAGAR.......!!!!!
Jab Kisi Dil Main
Kisi Ki Yaad Baaki Ho
To Mohabbat Karne Wale Dil
Kabhi Toota Nahi Karte
Mohabbat Karne Wale Bhi

Kabhi Rootha Nahi Karte...
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Aug 09, 2011 9:58 am

Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna

Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna

Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke

Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna

Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona

Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna

Tum chand ban ke rehna
Main dekhta rahoon ga

Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna

Tum chalay jao jab bhi
Tu dekhoon tumhara rasta

Tum loat ke na aao
Aisa kabhi na karna
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Tue Aug 09, 2011 11:40 am

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Wed Aug 10, 2011 2:46 am

Kabhi tum lout k aao,

Mujhay bas itna samjhao,

Kahan se seekh li tum ne,

Ada mujh ko bhulanay ki,

Tumhein mujh se shikwa ha,

Ya koi bhe shikayat ha,

Zehmat to zara si thi,

Na ki koshish batany ki,

Bhala yun chor k apna,

Koi apno ko jata hai,

Musalsal dukh ki barish main,

Jeewan bhar rulata hai,

Abi to rait geeli hai,

Abi sab naqsh baki hain,

Gaye qadmon pe lout aao,

chalo ab lot bhi aao
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Wed Aug 10, 2011 2:46 am

Nahi Aisey Satao Tum
Mujhe Tanhai Dasti Hai

Kahin Se Lout Aao Tum
Mujhe Tanhai Dasti Hai

Yaqin Tum Ko Meri Baaton Pe
Aakhir Kyun Nahi Aata

Khudara Maan Jao Tum
Mujhe Tanhi Dasti Hai

Koi Dastak Koi Aahat
Na Koi Ghar Pe Aya Hai

Parindo Chehchahao Tum
Mujhe Tanhi Dasti Hai

Mujhe Lagta Hai Mujh Ko
Judai Maar Daaley Gi

K Ab To Maan Jao Tum
Mujhe Tanhai Dasti Hai
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Aug 11, 2011 8:12 pm

Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo.
Log jal jayenge sooraj ki tamanna na karo.


Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai.
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo.


Kirchiya.N Toote huye aks ki chubh jayengi.
Aur kuch roz abhii aaina dekha na karo.

Ajanabi lagane lage Khud tumhen apana hi wajood.
Apane din raat ko itana bhi akela na karo.


Khwab bachon ke khilaunon ki tarah hote hain.
Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo.


Be Khayali mein kabhi ungaliya.N jal jaayengi.
Rakh guzare hue lamhon ki kureda na karo.


Mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge.
Dhoop ke shahar mein Wafa ki tamnna na karo…
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Thu Aug 11, 2011 9:04 pm

muhabat dukh to deti hy
magar ek bat karni hy
k jis ko chaha jata hy
zarori ye hota
k us ko paa lia jaye
kabhi us k bicharne se
muhabt kam nae hoti
zara se dair pehly tou
yehi mehsos hota hy
k koi jee nae skta
magar phir rafta rafta hi
haqeeqat khulti jati hy
k...
muhabat wo b hoti hy
k jis ko pa lia jaye
muhabat wo b hoti hy
jo hamesha sth rehti hy
kabhi dukh k andheron mai
kabhi khushion k daaman mai
kabhi wo ass deti hy
kabhi umeed deti hy


muhabt wo b hoti hy.....
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 11:14 am

Ek Wo Ke Faqat Rooth Ke Jane Ke Liye Tha !!
Or Mein Ke Usey Roz Manane Ke Liye Tha !!
Hum Jis Ki Tamana Mein Hue Taaraq_e_Duniya !!
Wo Shakhs Kisi Or Zamane Ke Liye Tha !!
Ghairon Ke Liye Tum Ne Jise Tor Diya Tha !!
Wo Ehad_e_Rafaqat Tu Nibhane Ke Liye Tha !!
Har Baar Wo Dhone Se Numaya Hi Hua Hai !!
Ek Dukh Jo Us Dil Se Mitane Ke Liye Tha !!
Us Ko Tu Kabhi Mujh Se Mohabbat Hi nahi Thi !!
Ye Khel Tu Duniya Ko Dikhane Ke Liye Tha !!
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 7:46 pm

tujhe paa to liya hai ...
par khone se dar lagta hai ...
tujhe hasa to diya hai par ...
par is hasi k khone ka dar lagta hai ...
tere dil me meri jagah to hai ...
par ye jagah k khone ka dar lagta hai ...
tu hai mere dil ka chain ...
tujh bin bechain hone se dar lagta hai ....
tu hai meri khushi ki pehli kiran ....
tujh bin gam k andhere se dar lagta hai ....
aaj hum mil to gaye hai ...
par alvida kehne se dar lagta hai ...
tere sang jivan hai swarg ...
tere bin jeene se dar lagta hai ...
tujhe paa to liya hai ...
par khone se dar lagta hai .....
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:02 pm

Kariya-e-jan main koi phool khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye
mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye
us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye
isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye
ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye
zabt ki shahar-panahon ki mere Maalik
khairgam ka sailab agar mujh ko bahane aye
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:02 pm

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Tere Hijr Me Hum Per Aik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:08 pm

غزل
جاتے ہوئے اک بار تو جی بھر کے رُلائیں
ممکن ہے کہ ہم آپ کو پھر یاد نہ آئیں

ہم چھیڑ تو دیں گے ترا محبوب فسانہ
کھنچ آئیں گی فردوس کی مدہوش فضائیں

پھر تشنہ لبی زخم کی دیکھی نہیں جاتی
پھر مانگ رہا ہوں ترے آنے کی دعائیں

پھر بیت نہ جائے یہ جوانی، یہ زمانہ
آؤ تو یہ اُجڑی ہوئی محفل بھی سجائیں

پھر لوٹ کے آئیں گے یہیں قافلے والے
اُٹھتی ہیں اُفق سے کئی غمناک صدائیں

شاید یہی شعلہ مری ہستی کو جلا دے
دیتا ہوں میں اڑتے ہوئے جگنو کو ہوائیں

اے کاش ترا پاس نہ ہوتا مرے دل کو
اٹھتی ہیں پر رک جاتی ہیں سینے میں* صدائیں

اک آگ سی بھر دیتا ہے رگ رگ میں تبسّم
اس لطف سے اچھی ہیں حسینوں کی جفائیں

معبود ہو اُن کے ہی تصّور کی تجلّی
اے تشنہ لبو آؤ! نیا دَیر بنائیں

ہم سنگِ دریا پہ بے ہوش پڑے ہیں
کہہ دے کوئی جبریل سے، بہتر ہے، نہ آئیں

ہاں، یاد تو ہوگا تمہیں راوی کا کنارا
چاہو تو یہ ٹوٹا ہوا بربط بھی بجائیں

توبہ کو ندیم آج تو قربان کرو گے
جینے نہیں دیتیں مجھے ساون کی گھٹائیں
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:22 pm

mai bhool jaoon jise ye wo hadsa nahi
wo aaj aise mila ki jaise jaanta nahi

haseen uske jaisa jahan mein koi nahi
ye aur baat hai mai usko chahata nahi

zah-e-naseeb wo naraaz ho gaye ham se
ye aur baat ke apni koi khata nahi

kise khabar thi ki suraj bhi ruth jayega
uss ikk makan se jiss mein koi diya nahi

sajaye rehta hai khamoshi hotho par
ajeeb shakhs hai kuch munh se bolta nahi

kisi ki raat hai roshan charagh ki manind
kisi makan mai bujhta huwa diya bhi nahi

gunahgar nigahon ne ye bhi dekha hai
gunahgar hua jiss ne kutch kiya nahi

merey khayal ki dehleez pe wo aa baittha
ab uss se batch ke guzarne ka raasta nahi

ham ne zeest bhi kardi usi ke naam sanam
jo hamko pyar se ikk baar dekhta bhi nahi
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:24 pm

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi
Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi
Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by h4happiness Fri Aug 12, 2011 9:24 pm



wo rulakar hans na paya der taq
jab maiN rokar mushkuraaya der taq

bhoolna chaaha agar usko kabhi
aur bhi wo yaad aaya der taq

bhookhe bachchoN ki tasalli ke liye
maa ne phir paani pakaya der taq

gungunata jaa raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der taq
h4happiness
h4happiness

Group : Senior Member
Group : Senior Member

Female Number of posts : 4946
Age : 36
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by řőşě Thu Aug 18, 2011 11:49 pm

Very Nice poetry Happiness welldone welldone Smile Smile
řőşě
řőşě

Group : Global Moderator
Group : Global Moderator

Male Number of posts : 94
Age : 40
Registration date : 2008-11-07

https://happiness.forumotion.co.uk/

Back to top Go down

Share poetry - Page 18 Empty Re: Share poetry

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 18 of 21 Previous  1 ... 10 ... 17, 18, 19, 20, 21  Next

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum